Monday, March 30, 2009

kabhi kabhi kuch khalta hain

Confidence--Bole toh life ki sabse important strategy...jo har kisi ki life ki sabse bdi tradegy bhi hoti hai...
Jiske pass hain wo maalmaal aur jiske pass nahi hain wo kangal..
Life mei confidence kitna important hain yh shuru shurur mei samjh mei nahi aata aur jab tak aata hain tb tk wo time hota hain ki hum ekdum corner line par khade hote hain..
aab confidence aaye bhi toh kaiase...
mera yeh post likhne ka matlab sirf itna hain ki jo aaj mei feel kr rhi hun uss cheez se kisi aur ko gujarna na pade...
confidence is very much important part of life...ek aisi medicine jo aapke hardum kaam ayegi..no matter kya problem hain..
aur confidence aisa nhi hain ki born hota h...but it grews wd time and experience..
but yeh initial level par bhi hona chahiye..
taki aap ruko nahi..kahin bhi kasi bhi condition mei..
Independently work krna is most imp to build this!!!
today i am suffreing from this and trying to cope up wd this....kal aap bhi ho sakte hain..
so TAKE CARE!!!!!

Thursday, March 26, 2009

Zindagi Tabadtodd

kahte hain ki zindagi bahut mushkilo se guzarti hai...har pal hum kisi na kisi wajah se aur kisi na kisi tarah zindagi mei fight kr rhe hote hain.....mei hamesha sochti thi ki kya kabhi mei karungi???
mei hemasha ma papa k sheltor mei rahi..par mei nanhi jaan kab tak bach pati..
mera bhi dinn aya fight karne ka....and meine ki and m doing still now..
So,
I salute to those people who used to travel in 764bus.....
peoples who have miss this oppurtunity to travel in this bus dont know what travel is all about...

I can Just summarized this into few Lines...


Saagar Ki Lahro mei..
Behte Panchi thae udh rhe..
bhaed bhav ki na koi jagah..
Ameer-Garib sab ek thaali k se thae lag rhe...

Tej Aandhi si chalti hain jab..
Sab usme saamate thae chal rahe..
ek k upar ek..
Hindustan ki janta kya hain..
uska roop tha dikhate chal rahe...

Monday, March 23, 2009

Hosh aane par pata chala

hosh aane par pata chala,
ki abb tak toh mei behosh thi...
paani k cheente lagne par ehsaas hua,
ki abb tak toh mei thi so rehi!

sote huae na ehsaas tha
ek nanhi si chubhan ka bhi..
jagte huae pata chala
ki kaanto ki kya bisaat thi....

hosh aane par pata chala..
ki abb tak mei behosh thi!!!


zindagi k palo ko..
bahati thi mei ja rahi...
kaanton ki raaho ko
phulo sa tha mei samajh rahi..


Apne kwabo ko toh
mei khud hi thi miitati ja rhi..
kaanto se hota hai khelna kya..
zindagi ka majaa tha mei bhulti ja rhi..

Hosh aane par pata chala..
Ki abb tak mei behosh thi!!!

about me....zaruri hai jaanna

nanhi si mei pari hun..
mapapa ki laadli hun..
choate choate hatho se,
sajati mei apni duniya badi hun..


sunder sa ehssas hai mann mei
har pal kuch naya sa karne ka vishwas hain..
choate choate kwabho se
saja mera sunder sansaar hain..

komal sa mann h mera..
naak par guasa kammal hain..
dil mei sbke liye pyar..
dosto mei meri jaan hain..

nanhi si mei pari,
nanhi si meri jaan hain..
sabke hontho par laau hansi.,
yehi meri zindagi ka khawab hain!!!!!

बारिश की पहली boond

बारिश की पहली बूँद,
एक अज्जीब सा एहसास दे गयी,
खुशबू उठती इस माटी की ,
पल भर में एक नन्ही सी खुशी दे गयी!

होठओ पर अब मेरे हलकी si मुस्कान थी,
दिल में नन्ही सी किलकारी की chalchalahat थी,
पल भर में उछल पडी मैं, jaise
मेरे पेरो में जान थी!!
में पगली bhool geyi,
mere toh yeh,
khawbo ki daastan thi!!!

बारिश की yeh nanhi boonde,
toh bas ek jhoota ehsaas thi!!!!