This is the poem dedicated to my grandma..
i just tried to explain her feeling for the two dayz--
1. wn she was at her last time
2.wn her soul come to our house again to see how much we love her..
i just tried to explain those feelings and her findings....
DAY 1
AAj meri mayit ka dinn tha.
ataki hui saanso ka dinn tha..
jo bahti jindagi mei
thae pathar atake huae
aaj unhe hata dene ka dinn tha....
sach ka dinn tha,
jhute parde se raaj uthane ka dinn tha..
kaun apna kaun paraya.
sab moh chod dene ka dinn tha..
aaj meri mayit ka dinn tha!!
sej se jo saje thae phool,
aaj woh bichona ban apnaane ka dinn tha
aakhiri shaan se jo nikle savari
aaj wo dinn tha..
aaj meri mayit ka dinn tha!!!
aankho ki lau ne jo liye thae sapne.
aaj unke pure hone ka dinn tha..
phoolo ki barsat mei..
aaj jo sikke thae khanak rahe
logo ka bhikari ban phir
ussi moh mei dubh jaane ka dinn tha...
aaj meri mayiat ka dinn tha!!!
DAY 2
udtae baadlo mei udaan bhare jab paya apne aap ko
chidiyo ki chachaht ke beech
mann kra dekh lu ek najar
apne parivaar ko..
ek pal aasma dekha
aur ek pal zameen
maa ka dil bhar aaya mera
socha ek najar daal hi lu
apne pote potiyon k beech..
aagya(permission) le mei uss om se
phir se niche thi laut aayi
rone ki dhawni(sound) sun(listen)
aankhein thi meri bhar aayi!
aapne bichone ke pass gayi toh
aapne vansh ko rota dekha
khud ko laga kitna anmol ratn mei..
jisne itne pyare vansh ko seecha..
par ektak najarie ruki meri..
jab phusphusahat sii lagi mujhe..
dekha hans(smiling) rahi thi bahuraniya meri..
meri maut k samman(pride) mei..
laga jaise unhe khushi ka tha koi manjar mil gaya..
meri aachiyon ko toh na jaana kisi ne..
meri daant ko sabne chuu liyya..
ekaek ek roshni se mein peeche beete dinno
mei thi laut ayi..
jab bani thi mein dulhan,
agle(next) pal apne ko maa ke roop mei sajai..
hanskar sweekar kiya meine unn bahate pathro ko.
anmol heera banaya unhe apni mamta ke aanchal do..
phir bhi raghuveer ki yeh kaise reet
jinhe seencha apne pyar se..
aaj woh iss bheed mei
mujhe koyale ki khaan bataye..
nau phoolo ko jo tha meine varksh(tree) banaya
aaj woh mujhe hi patjhad ka tha tuuntha dikh rahe
itni aasani se wo aapne farzz thae nibhaye jaa rhe..
mann ka mael(dirt) toh na dho sake..
duniya mei woh apna danka tha bajaye jaa rahe...
phir bhi chalke aansu mere,par aab woh dukh k thae..
jhuka aasman, pathi dharti..
phir na kabhi wapas laut aane k liye....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
these 2 are really gud n real....
ReplyDeletesach m bht pyari h just like u.........
ReplyDelete